Visal e Mausam by Khalid Moin
![Image](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhMMratpOyexC-xlOu6OXX52z-Iq3fkl7Ub2onPM5Rc7NtaooVlKfA4Q6uUDDmJAs0wUrt4AlmMpXtRRH-NcJAfijKa4uuMfb2VfYwkOiTatPCfFvA_NEL0tzPdDlskODkBflbiXz876vTu/s320/images+%252821%2529.jpeg)
Visāl-e-Mausam tumhāre abrū ke ik ishāre kā muntazir hai nazar uthāo aur apne raste pe khilne waale gulāb dekho samāatoñ se kaho ḳhamoshī nigāh aur aaine ke mābain suḳhan kā āġhāz kar rahī hai hawa se pūchho wo kis badan kī mehak se paiham ulajh rahī hai suno ye mausam visāl kā hai so us ko yuun raigaan na jaano agar tum izn-e-safar na doge to phir ye mausam gulāb rut meñ bhī zard pattoñ kā bhes badle tumhāre āñgan se jā malegā aur āainoñ se gila karegā Khalid Moin