Sitaron se agay jahan aur bhi hain by Allama Iqbal
![Image](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhEJyCZOQ24rVrKT4RU38D8FIrd9KBvhZ-Ucl8j4OkF0_Lw1u7lX8FI1z4_wewHu8bkOsYCbC7VRqwlgEGrcStrXvnKn6RkPbAlGsO6frUpK2jFy3AMBZT6yhRcgAUcxEhzsnh6Y4D0JTMX/s320/a52950a3-e01b-4574-88c8-a1634c35e720.jpg)
Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain Tehi, Zindagi Se Nahin Ye Fazaen Yahan Saikron Karwan Aur Bhi Hain Qanaat Na Kar Alam-e-Rang-o-Bu Par Chaman Aur Bhi Ashiyan Aur Bhi Hain Agar Kho Gya Ek Nasheeman To Kya Gham Maqamat-e-Aah-o-Faghan Aur Bhi Hain Tu Shaheen Hai, Parwaz Hai Kaam Tera Tere Samne Asman Aur Bhi Hain Issi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Na Reh Ja Ke Tere Zaman-o-Makan Aur Bhi Hain Gye Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein Yahan Ab Mere Raazdaan Aur Bhi Hain