Mile bina hi bichharne ke Dar se laut aaye
![Image](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjY01Yw6-nYhx4UcwHk_HhjsS2c5IWI1UhMRTyEIFB5ipVvy0hMvUELSzfsmMbncFqBiCW5_6QG7Vg-HrzaL3WjoW9ep_IW2csRvKJKzJut0Liqm4w8Y2ggAOdyf24XDYNU-t4zbemtAn3K/s320/8ae9248f-6387-41a3-94a5-4345bcfcbfa5.jpg)
Mile bina hi bichharne ke Dar se laut aaye Ajeeb khauf mein hum us ke dar se latu aaye Na aise roiye naakaamii -e- muhabbat per Khushi manaaiye zinda bhanwar se laut aaye Yeh sochte hue baithe hain raah mein ruk kar Udhar to gaye hi nahi the jidhar se laut aaye Lab uske, saamne the aur hum ne chooma nahi Samajh lo paon uThay aur dar se laut aaye Abhi to waqt hai suraj ke doobne mein to phir Ye kya hua K parinday safar se laut aaye Kisi bhi tarah ye duniya na chhor paye hum K jab bhi nikle teri rahguzar se laut aaye Phir us ne dekha koi tara toot_te ek raat Phir ek roz musafir safar se laut aaye Mere guzarne ki afwaah hi uraade koi Kise khabar ke woh jhooti khabar se laut aaye