suna hai log use ankh bhar ke dekhte hain by Ahmed faraz
Suna Hai Log Us ay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain So Us Ke Shahar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhte Hain Suna Hai Rabt Hai Usko Kharaab Halon Se So Apne Aap Ko Barbaad Karke Dekhte Hain Suna Hai Dard Ki Ga-Hak Hai Chashm-E-Naaz Uski So Ham Bhi Uski Gali Se Guzar Kar Dekhte Hain Suna Hai Usko Bhi Hai Sheir-O-Shaeri Se Shaghaf So Ham Bhi Moajze Apne Hunar Ke Dekhte Hain Suna Hai Bole To Baton Se Phol Jharte Hain Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain Suna Hai Raat Use Chaand Taktaa Rehta Hai Sitare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain Suna Hai Din Ko Use Titliyaan Satati Hain Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr Ke Dekhte Hain Suna Hai Hashr Hain Uski Ghazal Si Aankhein Suna Hai Usko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hain Suna Hai Uski Siyah Chashmagi Qayamat Hai So Usko Surma Farosh Aankh Bhar Ke Dekhte Hain Suna Hai Uske Labon Se Gulab Jalte Hain So Ham Bahaarh Pe Ilzaam Dhar Ke Dekhte Hain Suna Hai Aaeinaa Tamasil Hai Jabin U...