Visal e Mausam by Khalid Moin
Visāl-e-Mausam
tumhāre abrū ke ik
ishāre kā muntazir hai
nazar uthāo
aur apne raste pe
khilne waale gulāb dekho
samāatoñ se kaho ḳhamoshī
nigāh aur aaine ke
mābain
suḳhan kā āġhāz kar
rahī hai
hawa se pūchho
wo kis badan kī mehak
se paiham ulajh rahī hai
suno ye mausam visāl
kā hai
so us ko yuun raigaan
na jaano
agar tum izn-e-safar
na doge
to phir ye mausam
gulāb rut meñ bhī
zard pattoñ kā bhes badle
tumhāre āñgan se jā
malegā
aur āainoñ se gila
karegā
Khalid Moin
Osam♥️
ReplyDelete