Waqt e rukhsat nigahoon mein
Waqt
e rukhsat nigahoon mein
Waqt-e-Rukhsat
Nigaahon Mein Kinaarey Kaisey
Taiz Toofaan Mein Gharondon Ke Sahaarey Kaisey
Chamakti Huyi Aankh Ne Kabhi Daikha Nahin Hai
Aankh Say Toot Ke Girtey Hain Sitaarey Kaisey
Asmaan Chootey Huwey Sholon Ko Kahaan Maaloom
Raakh Ke Dhair Mein Paltey Hain Sharaarey Kaisey
Daman-e-Tar Maira Daikho Khabar Ho Gi Tumhein
Samandar Ke Beech Mein Girtey Hain Dhaarey Kaisey
Dil Jiger Khoon Kiya Chaak Girebaan Kiya
Hum Ne Sadkey Teri Chaahat Ke Utaarey Kaisey
Pur Khaloos Aaj Bhi Deewaney Nazar Aatey Hain
Qais-o-Farhaad Ki Muhabbat Pey Ajarey Kaisey
Dil Kahin Lagta Nahin Aankh Ko Kuch Bhaata Nahin
Tu Nahin To Ye Pur Lutf Nazaarey Kaisey
.
. Tu Waaqif Ejaz-e-Bayaan Tehra
Doosra Koi Jaaney Uss Ke Ishaarey Kaisey.. !
Comments
Post a Comment