Naya ek rishta paida kyun kare hum by Jaun Eliya


Naya Ek Rishta Paida Kyun Karen Hum

 

Naya Ik Rishta Paida Kyuun Karen Ham
BichhaḌna Hai To Jhagda Kyuun Karen Ham

ḳhamoshi Se Ada Ho Rasm-E-Dūri
Koi Hangama Barpa Kyuun Karen Ham

Ye Kaafi Hai Ki Ham Dushman Nahin Hain
Vafa-Dari Ka Da.Ava Kyuun Karen Ham

Vafa Iḳhlas Qurbani Mohabbat
Ab In Lafzon Ka Pichha Kyuun Karen Ham

Hamari Hi Tamanna Kyuun Karo Tum
Tumhari Hi Tamanna Kyuun Karen Ham

Kiya Tha Ahd Jab Lamhon Men Ham Ne
To Saari Umr Iifa Kyuun Karen Ham

Nahin Duniya Ko Jab Parva Hamari
To Phir Duniya Ki Parva Kyuun Karen Ham

Ye Basti Hai Musalmanon Ki Basti
Yahan Kar-E-Masiha Kyuun Karen Ham

JAUN ELIYA


Comments

Popular posts from this blog

Mjhe tum yaad aati ho by m.a shaheer

Chalo Kuch Dair Chalty Hain. چلو کچھ دیر چلتے ہیں

Alao me dhamal kar raha ho me by Ali Zaryoun