Hum dekhe de by Faiz Ahmed Faiz
Hum
Dekhain Gay
Hum Dekhain Gay
Lazim Hai Ke Hum
Bhi Dekhain Gay
Wo Din Ke Jis Ka
Wadah Hain
Jo Loh-E-Azl Pe
Likha Hain
Jab Zulmo-O-Sitam
Ke Koh-E-Garaan
Ruii Ki Tarha Urd
Jain Gay
Hum Mehkumoon Ke
Paun Talay
Ya Dharti Dhard
Dhard Dharkay Gi
Aur Ehl-E-Hukam Ke
Uper
Jab Bijli Kard Kard Kardke Ki
Jab Arz-E-Khuda Ke
Kabay Se
Sub But Uthwaaiy
Jain Gay
Hum Ehl-E- Safa
Mardood-E-Haram
Masnad Pe Bithaaiy
Jain Gay
Sub Taaj Uchalay
Jain Gay
Sub Takhat Giraaiy
Jain Gaz
Bas Nam Rahay Ga
Allha Ka
Jo Gayab Bhi Hai
Hazir Bi
Jo Nazir Bhi Hai
Manzar Bhi
Uthay Ga Analhaq Ka
Nara
Jo Main Bhi Ho Aur Tum Bhi Ho
Aur Raj Karay Gi
Khalq-E-Khuda
Jo Main Bhi Ho Aur Tum Bhi Ho
Hum Dekhay Gay
Lazim Hai Ke Hum
Bhi Dekhain Gay
Faiz Ahmed Faiz
Comments
Post a Comment