Ek bachpan ka zamana tha
Ek bachpanka zamana tha
Ek
bachpan ka zamana tha,
khushiyo
ka khazana tha..
Chahat
Chaand ko pane ki,
DIL
titli ka Diwana tha..
khabar
na thi kuch Subah ki,
na
Shaam ka thikana tha..
Thak-haar
ke aana school se,
Par
khelne bhi jana tha..
Dadi
ki kahani thi,
Pariyo
ka fasana tha..
Barish
me kaghaz ki kashti thi
Har
Mousam suhana tha..
Har
khel me Saathi the,
Har
Rishta nibhana tha..
Gham
ki zuban na hoti thi,
Na
zakhmo ka paimana tha..
Rone
ki wajah na thi,
Na
hasne ka bahana tha..
ye
kahan aa gaye..
"wo
bachpan hi suhana tha"
Bohut khoob ♥️
ReplyDelete